Sunday, February 19, 2012

Kitna Aasaan Hota Hai !!!!



Kisi ki chahhat mein zindagi bhulana,
Khud se jyada kisi ko apna banana,
Kisi ke liye har zehmat uthana, Aur fir uska tumhe paraya kar jana,
Kitna Aasaan Hota Hai !!!!

Pal wo saare jo gujre the saath,
Unhe yaadein banakar hamesha sajana,
Kabhi ruthna unse kush baaton pe,
Kabhi khud ki galti pe unhe manana,
Wo baarish mein chalna saath saath,
Wo hali baucharon mein sab bhul jana,
Kitna Aasaan Hota Hai !!!!

Zindagi se khushiyan mili hai kayi,
Jabse ho tum shaamil ismein,
Per tumko ye sab yu hi keh pana,
Tum kya ho mere ye tumhe batana,
Mumkin hai in baaton ka dil mein reh jana, mere liye to
Kitna Aasaan Hota Hai !!!!

Na samjha hai tumne ki mere sapne hai kya,
Na janoge mere liye tum ho kya,
Tumhe toh bas pata hai meri khata kitni hai,
Mere pyaar se ki gayi wo baatein bhulana,
Main tumse hi toh hu, ye bhul jana,
Keh dena ki hum na honge saath ek din,
Keh dena ki chod doge tum mera haath ek din,
Na jaane kyu tumhare liye ye sab Kitna Aasaan Hota Hai !!!!

No comments:

Post a Comment